Header Ads

test

Mushroom Ki kheti Aur Mushroom Business Ki Puri Jaankari






Mushroom Business kaise kare,Mushroom Business Se Jyda Profit kaise kamaye.....

koi bhi business start karne se phale hamare dimagh me kai sawal hote hai.agar aap ye post padh rha hai to apka man me bhi ye sawal aa raha hoga ki india me mushroom ki kheti kaise kare,mushroom ki kheti kon se jagah me acha rahega,mushroom business se profit kitna hoga,mushroom cultivation se kya fayda hai,mushroom ke khaane se kya fayda hai.mushroom kitne tarah ke hote hai.ye sabhi ki jaankari main apne post me de raha hu.


Mushroom Business Aaj Ke Jamane Me Har Koi Kar Sakte Hai.Iss Business Se Har Koi Income Kar Sakta Hai,Kyuki Mushroom Ka Demand Duniya Ke Har Jagah Me Khub Hoti Hai.Isko Sell Karna V Bahut Aasan Hai.Aur Iske Price  Bhi High Hoti Hai.Jisse Har Koi Ko Fayda Hoti Hai.To Aaiye Jante Hai Ki Kaise Hum Bina Jayda Invest Kiye Aacha Khasa Paisa Kama Sakte Hai.
                                                         Mushroom Business Me Jo Koi Bhi Invest Karta Hai Use Pakka 3 Guna Profit Ho Sakta Hai Agar Wo Sahi Tarike Se Kare To.Isse Aap Mahine Me 30000/- Se 40000- Kama Sakte Hai.Wo Bhi Jyda Invest Karke Nhi To Jante Hai Kya Hai Wo Stragty Jisse Mushroom Business Kar Sakte Hai.


                                     Topic   
    1.  Benefits Of Mushroom
    2.  Type Of Mushroom
    3.  Protection
    4.  Material
    5.  Methods
    6.  How To Make Money Of Mushroom Business
   



     Read More : Know More : Earn More



Mushroom Business Kaise Kare: Low investment High Profit business


1.  Benefits Of Mushroom:-

Mushroom Khane Ka Kya Fyde Hai.Mushroom Ka Kis Chij Me Use Hota Hai.
1.  Mushroom Khane Se Cancer Jaise Ghatak Bimari Ko Kam Kiya Ja Sakte Hai.
2.  Iske Khane Se Pachan-Tantra(पाचन-तंत्र) Ka Majbut Banata Hai.
3.  Isse Heart Patient Ko Aaram Pahuchta Hai.
4.  Lentenain Aant(लेन्टेनाइन आँत), Agnashy( अग़्नाश्य),Aahaar- Naal( आहार नाल), Liver,Lung Cancer Ko Kam Karta Hai.
5.  China Ke Logo Ke Anusar Mushroom Purustav Aur Sex Ko Bhi Badhata Hai.
6.  Kidney Ki Kamjori Ko Dur Karta Hai.
7.  Mushroom Khane Se Blood Me Upasthith Cholesterol Ko Kam Karta Hai.
8.  Isse Blood Pressure Ko Bhi Kam Kiya Ja Sakta Hai.
9.  Isse Taiyaar Dava Ka Prayog
·      Manshik Tanav Kam Karne,
·      Motapa Kam Karne,
·      Bavashir Ko Khtm Karne Me,
·      Madhumeh(Diabete) Ko Kam Karne Me,
·      Aids Ke Upchar Me Kiya Jata Hai.
10.        Mushroom Nirantar Rup Se Sevan Karne Se Face Ko Plumping(Gol Matol) Hota Hai.Isme Vitamin-D,Selenium,Aur Antioxidant Hota Hai.Jo Hamari Tawcha(त्त्वचा) Ko Protect Karti Hai.
11.       Mushroom Me Iron Ki Matra Aadhik Payi Jati Hai.Jisse Yah Jhadte Baalo Ko Kam Kar Deta Hai.

mushroom khane ke fayde ki puri jaankari = click here




2. Type Of Mushroom In India



   S.No       
    Type Of Mushroom                        
    Period  
   1.   
    Button Mushroom                   
   Oct To March
   2.    
    Milky Mushroom                     
   March To July
   3.   
    Oyster Mushroom                    
   July To March
    4.   
    Siteka Mushroom

1.  Meterial(सामग्री):---- Mushroom Ki Kheti Me Kis Kis Chij Ka Prayog Kiya Jata Hi.

Hame Mushroom Banne Ke Liye Kis- Kis Chijo Ka Jarurat Pad Sakti Hai.

·      Fresh Dhaan Ki Bichali
·      P.P Polithin(18*26)
·      Brawestin (ब्रावेस्टीन)
·      Formalin ((फार्मलिन)
·      Bujha Hua Chuna
·      Pani Ka Tab
·      Spawn(बीज)




2.  Protection : Mushroom Ki Dekh Rekh Kaise Kare

1.  Mushroom Ka Production Ek Band Kamre Me Yaa Andhre Me Kiya Jana Chahiye.
2.  Room Me Direct Dhup,Hawa Yaa Pani  Na Jata Ho.
3.  Hamesha Bijali Light Ka Upyog Behatar Hota Hai.
4.  Room Hamesha Saaf Rahna Chahiye,Kisi Ko Bewajah Andar Na Jane De.


3.  Method :- Mushroom Ki Kheti Kaise Kare. Mushroom Farming in hindi
Agar Aap Yah Business Ka Suruwat Karke Dekhna Chahte Hai.To Pahle Thoda Sa Practical Karke Dekh Le Ki Mushroom Nikalta Hai Yaa Nahi.Jaise Meine Kiya Tha.

        5 Kg Dhan Ki Bichali Ka Prayog

1st  Day:_-
        
·      Sabse Pahle Bichali Ko 1-1½ Inches Lambe Tukde Kare.Aur Yaad Rahe Dhan Ka Bhusa  Aacha Aur Fufuand Na Ka Laga Rahe.
·      Iske Liye Ek 200 Liter Dram Me ¼ Bhag Me Pani Daalkar 200 Mi.Li Farmilin Aur 20 Gm Brawstin Daalkar Aachi Tarah Milane Ke Baad Bhusha Daalte Hai.(Ek Hi Bhusa Na Dale Dhire Dhire Karke Daalna Hai,Bhusa Ko Aachi Tarah Pani Me Milaye).Fir Pani Dale Aur Fir Bhusa Dale.Yahi Chij Aapko Bar Bar Karnge Jab Tak Ki Dram Bhar Na Jaye.
·      Ab Dram Ke Upar Se Kisi Chij Se Dhak De.Taki Dram Se Hawa Na Nikle.Karib 12-15 Ghante Ke Baad Bhuse Ko Nikalkar Plastic Sit Yaa Pakke Frash Par Rakhte Hai.Pani Ko Nikal Kar Ke Dhup Me Sukha Dete Hai.Taki Bhuse Me 60% Nami Rah Jaye.

Note- Sukhe Huye Bhuse Ko Hath Me Lekar Jor Se Muthi Bandhe Hai,To Pani Ke Bund Gire To Bhusa Aur Bhi Sukhegi.Lekin Pani Na  Gire To Aur Thodi Nami Rahe To Samjhe Bhusa 40% Shuk Chukka Hai.

·      Bhusa Sukhne Ke Baad Use Thande Jagah Me Rakhte Hai Aur Fir 200gm Chuna Pawder Chidkaw Karke Mila Dete Hai.
·      P.P Polythin Ke Niche Satah(सतह)Ko Rabad(रबड़)Se  Bandh Dete Hai.Taki Polythin Gol Ho Jaye.Ab Puwal Ko 16*26yaa 18*24 Polythin Bag Ke Andar 4 Inch Moti Parat Banate Hai.Aur Unhe Dabate Hai Taki Bhusa Ki Satah Samtal Ho Jaye.Fir Iske Upar 50gm Spawn(बीज) Kinare-Kinare De Aur Thoda Sa Bich Me De.Fir Uske Upar 4 Inch Bhusa(भूसा) Dale Aur Dabate Hai.Aisa Humlog 4 Parat Banate Hai.Upar Ki Satah Me Spwn Na Dale.



·      Ek P.P Polythin Me 200gm Spwan Dalte Hai.Ab Bag Ke Upri Bhag Ko Rabad Se Daba Kar Pure Tait(टाइटा)Se Bandh Dete Hai,

·      Bag Me Thoda Hawa Jane Ke Liye Bag Me 25 Chote Chote Ched Kare.

·      Taiyaar Kiye Gaye Bago Ko Room Me Lataka De .

·      1 Month Me Bag Ke Andar Se Kawak Jaal(कवक जाल.)Aur Bhusa Safed Ho Jata Hai,Fir Polythin Ko Kaatkar Nikal Dete Hai.Har Din Pani Ka Chidkaw Bag Par Spray Duru Karte Rahe.Taki Nami Bani Rahe.





Mushroom Lagan Ke Baad Kya Hota Hai.

·      Bag Se Plastic Hatane Ke Baad Lagbag 6 Din Baad Mushroom Nikalna Shuru Ho Jati Hai.
नोट:- आप चाहे तो बैग में प्लास्टिक नही हटा सकते है आप उसमे बड़ा छेद कर दे उसी से आपको मशरुम आने सुरु हो जायेगा ,इससे आपको पानी देना का टेंशन भी नही होगा
·      Mushroom Ko Ungliyo Ke Bich Fashakar Marodkar Todte Hai.
·      Ek Bag Se Lagbag 2 - 2½ Kg Mushroom Nikalta Hai.
·      Ek Bag Se 2 Mahina Tak Mushroom Tod Sakte Hai.
·      Bag Se Ek Bar Kabhi Kbhi 6 Din To Kbhi 10 Din Kbhi 20 Dino Baad Mushroom Nikalti Hai.Reason Temp Aur Humanity Ke Karn Hota Hai.






Mushroom Business Karne Se Kitna Cost Lagega Aur Kitna Profit Hoga:-


Agar Aap Mushroom Ka Business Karne Ka Than Liya Hai.Agar Aap Mushroom Se Apna Life Depend Karna Chahte Hai To Yah Janna Bahut Jaruri Hai Ki Iss Business Me Hame Laabh Kaise Milega.

1st. Step

Pahle Suruwat Hum 25 Bag Spawn Se Dekhte Hai Kitna Earning Kar Sakte Hai.


   Material
   Quantity 
    Rate
   Amount
   Spawn
    25 Bag
   35(400 Gm)
   875/-
   P.P Polythin
    1kg
   150/Kg
    150/-
    Bichali
   100 Kg
    5/Kg
    500/-
    Formalin
    1 Liter 
    300/Liter
    300/-
   Brawestin
    100gm
   80/100gm
    80/-
    Rabad
    25gm
    400/Kg
    10/-
       Chuna
      250gm
        12/Kg  
                 3/-
              Total Cost
     1918/-

 

Round Figure  Me 2000 Rupee Ka Kharcha Aata Hai.

·      25bag Spawn Me 50 Bag P.P Polythin Use Hoga.Aur Har Bag Se 2 Se  2½ Kg Tak Mushroom Ka Production Hota Hai.
Production = 50*2kg=100 Kg
Sale/Kg   =                   120 Rupee
                                    12000/-


·      Total Net Profit   12000-2000=10000/-
Jitna Aap Invest Karoge Use Hamesha 4 Guna Profit Hoga.Agar Aache Se Kiya Jaye To.Isliye Iss Business Ko Karne Se Pahle Pure Post Ko Aache Se Padhe.






2nd.  Agar Hum 200 Bag Spawn Ka Use Karte Hai To Dekheiye 2-3 Month Me Kitna Ka Business Kar Sakte Hai.


   Material
   Quantity
    Rate
    Amount
   Spawn
   200 Bag
   35/Bag
   7000/-
   P.P Polythin
    8kg
   150/Kg
   1200/-
   Bichali
   800kg
    5/Kg
    4000/-
   Formalin
   10liter
    2600/10 Liter
   2600/-
   Brawestin
    800gm
   80/100gm
    640/-
   Rabad
   150gm
   400/Kg
    60/-
   Chuna
    2kg
   10/Kg
    20/-
                        Total Cost   ==== 15520 Rupee

·      Production == 200 Bag Spawn Matlab Ki 400 Bag P.P Polythin Bharega.To Har Bag Se 2 Kg Maan Lete Hai.
Yaani     800kg * 120(Sale)== 96000rupee

Net Profit == 96000-15520
                  = 80480/-
Sochiye Yah Aapki 2 Mahina Ki Income Hai.

Aapke Liye:
Agar Apko Iss Post Se Kuch Sikhne Ko Mila Hoga Yaa Aur Kuch Aap Janna Chahte Hai To Aap comment me puch sakte hai.