Apne Business ke liye customer kaise badhaye
Pure world me sabse jyda competition retail (khudra sale) me hai.Aur jitna jyda competition hota hai uska profit seller’s ko utna kam milta hai. Isliye inse bachne aur profit kaise ho isko dhayan me rakhte huye bahut se reteil guru,sellers iska upay dhunde hai aaiye jante hai wo kya tricks hai.
1-Hamesha Imandar Rahe:-
Aapko apne
shop ke parti, apne grahak ke parti aur apne employee ke parti imandar hone ki
jarurt hai.Agar aap imandar rahnge to khul kar kaam kar sakte hai.
Aapko imandari sabse pahle un chijo me dekhne ki jarurat hai,jo aache se chal
rahi hai.Iske baad aap un chijo ko dekhe
jo apke business ke liye problem create kar rahi hai.Iske baad apko apne shop
ke advertise par bhi dhayan dene ki jarurat hai.Iske baad waisi chijo ka list banaye jo grahak ko jyda
pasand aati ho aur fir un chijo ka list
banaye jo unhe napasand hai.
Aise karne
se apke pass ek data bank ban jayga.jiske baad aap apne shop ke liye jyda
customer friendly bana sakte hai.
2.Employee-customer Relationship:-
Hamesha apne
customer aur employee ke sath aache sambandh bana kar rakhe.kyuki employee apke
shop ke brand Ambassador hai.kyuki har
customer ko aap khud hi deal nhi kar sakte hai.Agar employee apne 100% denge to
koi v customer dusri aur jaynge nhi.
Iske baad number aata hai customer ka.customer
king hota hai.kyuki unhe options ki puri Aajadi hai.isliye ayah hamesha dhayan
rakhe ki kbhi customer naraj na ho.
Agar aap
ayah karne me safal ho gye tb aapko customers ki kbhi kami nhi hogi.apka
business aage badhta hi jayega.
3.Hamesha Aacha Karne Ki soche:-
Dusre shop
owner se kbhi ayah sawal nhi kare ki unka business kaisa chal raha hai.agar wo
kahega ki aacha chal raha hai to aap mayush ho jaynge,agar wo kahenge ki aacha
nhi chal raha hai to tb aapko khushi hogi.
Agar aap aage badhne ko
sochnge tbhi us raste par chalnge,hamesh sikhne ke aur dhayn de, kbhi ayah nhi
soche ki mujhe sabkch malum hai.
4.Internet Ka Prayog:-
Agar apka
koi shop hai to aap use social site ke through bhi sale kar sakte hai. Isse apko customer ke
pasand napasand ko janne aur saste maal ka supply ke liye bhi apko social site
par activate rahne ki jarurat hai.isse aap unki demand ko samjh sakte hai.aur
us hisaab apne shop ko upgrade kr sakte hai.
5.Detail Record Rakhe:-
Ek successful
businessman apne kaam ka record rakhta hai.record rakhne ke do fayede hai
1st,
aapko apne business ke financial record ke bare me puri jaankari rahegi.Isse aap aap apne
business ke risk factor ke bare me plan
kar sakte hai.
2nd
, Record ki help se aap business me aane
wali problems ki pahchan kar usse bachne ka tarika dhundh sakte hai.
6.Apne Kaam Par Hamesha Dhayan De:-
Ek purani
kahawat hai—Rom was not built in a day( Ek din me Rom nhi bana tha). Koi bhi
business ek din me uchayi par nhi pahuchta hai.dhire-dhire aage badhta
hai.isliye apne business se turant profit kamane ka man nhi banaye,turant
profit kamane ke chakar me aap kch galat kar denge.
7.Mehnat se jee nhi churaye:-
Kisi bhi
business ko suru karne ke liye aur usko aage badhne ke liye bahut mehnat lagta
hai.isliye agar aap sahi mayne me apne business me success hona chahta tb aapko
jee nhi churana chahiye,agar aap mehnat se bagenge tb iska sidha nukshaan apke
business ko hoga,
8.Compitition Ko Aache Se Parkhe:-
Competition
ka parinaam hamesha aacha hota hai.isliye ek safal businessman wahi ho sakta
hai jo kabhi bhi partiyogyata se nhi dare,partiyogyta ka fayada customer ko
milta hai.lekin business bhi isse profitable ho jata hai.
Ek safal businessman do baton par hamesha
dhayan deta hai.
1st
,uska grahak kabhi nirash na ho.
2nd,
kam lagat me jyda profit kaise kamaye
AGAR KOI BUSINESSMAN ISS POST SE KUCH SIKH KE
AAGE BADHTA HAI.TO MUJHE BAHUT KHUSHI HOGI.
Post a Comment