Header Ads

test

Success ke 5 mantr:- By Apj abdul kalam

   
1. Jiwan me lakhsya banaye:-

    Aap jo bhi jiwan me lakhsya banate hai,uske mutabik khub gyan le,iske liye aap books padhe,naamchin logo se mil kar unke experience ko jaane,mashur scientist, philosopher, cricketer, business man ka jiwni{bio-graphy} padhe.isse aap unse inspire honge aur kbhi loose nhi honge.
2.  Samasya ka captain na bane:-
Kbhi bhi samasya ka apna captain mat banaiye,balki aap samasya ka captain baniye.Kbhi bhi problems ko apne upar hawi na hone de,balki aap unpe hawi ho jaye,Isliye mehnat kare aur pure himmat se har samasya ka samana kare.
3.  Ek din me best nhi bante:-Koi bhi aadmi ek din me best nhi ban sakta hai,ayah ek parkirya hai , jise sabhi rasto se hokar gujarna padta hai,Apna ideal choose karna,uske mutabik target choose karna,fir un targets par adig rahna,unhe pura karne ke liye risk lena,jo in sab rasto ko par kar lete hai,wahi best kar sakta hai. 
4.  3 gunu ka hona jaruri hai:-
Agar kisi aadmi me ye 3 gun hai to wah aashani se safal ho sakta hai,·      Janne ki Avilaasha
·      Sochne ki chamta
·      Gyan hasil karne ke liye kadi mehnat karne ki chahat.

5.  Dimagh iswar ka diya taufa hai:-
      Iswar ne insaan ko dimagh diya hai, ayah sabse bada uphaar hai,iska upyog kare,yaad rakhe,”sochna vikash ki nishani hai,na sochna vinash ki nishani”