Header Ads

test

Amerikan Business Man Kaise Apne Business Me Success Karte Hai:अमेरिका Business मे सफल क्यों है.



Duniya me Amerikan business man sabse jyda successfull mane jate hai,kyuki business ko aage badhane ke liye unka kuch khash prayog aur gun hai,Jo har business man ko sikhne ki jarurat hai,kyuki kaha gya hai na ki “Koi v bada se bada business paisa se nhi balki bade idea se bada hota hai”.Aur american udhami tarkib ke mamle me in dino bahut aage hai.

1.Planning Hoti Hai Dumdar:-
Ameriki businessman ke safal hone ke sabse badi wajah hai.unka plan se kam karna.chahe kuch bhi ho jaye,ameriki log apna plan ke anushar hi karnge. 
                  Agar kbhi planning me change krne ki jarurat padhti hai to ameriki team ki madad se turant feshla lete hai.iss tarh ke kam we time barbaad nhi karte hai,
2.Specialist ki salah:-
Ameriki udhami planning banane me mahir hote hai.kaam,investment aur manegment se  lekar har scope me amerika no.1 hai.Har kaam ke liye wah specialist ki advice lete hai. Kyuki unka har haal me behetrin output chahiye hota hai,unka manna hi ki jo fix hai.wah isi aadhar par hoga.usme kisi parakar ka kami,lachila unhe kbhi Kabul nhi hai.
3.Risk Aur Kade fesle  Lete Hai:-
Baat agar karobar ki ho yaa career ki,utar-chdhao sab me aata rahta hai.Kisi ka samay aur din ek jaisa nhi hota hai.kai baar thode se prayash se aur average planning se v badi safalta mill jati hai.aur kai baar kathin mehnat aur aachi planning ke baad bhi umid se v kam safalta milti hai.ek businessman aur service man ki asal pariksha in kathin paristhiti me hi hoti hai.aur iss mamla me ameriki aage hai,
“NO RISK NO GAIN”
4.Employee ko karte hai motivate:-
Ameriki company ke leader hamesha apne employee ko hosla badhte hai.Jab bhi company ghate me hoti hai, to company ka owner employees ko koste nhi hai.wah to iss paristhiti me unka hosla badhate hai.taki we iss paristhiti me apna best de sake.
5.Niji source ka karte hai istemaal:-
Ameriki udhami apne niji source aur sanshadhan(resource) se karo baar suru karne ke visisit gun hote hai.we apni sampatti ko hi karobaar me lagte hai.ek survey ke mutbik 30% se v kam udhami aise hi jo bank se karz lekar aur 20% se v kam udhami aise ha,jo sarwjanic shurot se dhan prapt kar karobaar suru karte hai.apni punji(paisa) hone ke dar se target ke parti unki chinta jyda rahti hai to we unme apna focus banaye rakhte hai.