Header Ads

test

Bagwani Kaise Kare Wo Bhi Apne Smartphone Ki Help Se:Bagwani Kar Business Ko Develop Kaise Kare


Technology ke iss jamane me har chiz ko karna aashan ho gyi hai.bagwani(बागवानी) shok rakhne walo ke liye smartphone aur app ki taknik kafi helpful sabit ho rahi hai.aaj aise gardening app launch kiye ja rahe hai.jinki help se aap khud hi bagwani kar sakte hai.
                                        Kai baar aisa hota hai ki hum apne business purpose yaa bagan ko khubsurat banane ke liye mehnat karte hai lekin bagiche me fool aur sabji  ugte hi nhi ,darsal bagiche ko maintain tbhi rakh sakte hai jab aapko badalte mousam ke sath-sath podho ki har baat ka khayal rahta hai.Isliye in sab ko dhyan me rakh kar app ki help se aap aachi gardening v kar sakte hai aur sabji ka bharpur production paa sakte hai.


1.  DIY Gardening:-


Aap iski help se gardening ke aise tips jaan sakte hi.jo apke bagiche ke liye helpful hogi.agar aap pahli bar gardening kar rahe hai to iss app me wo sari jaankari hai jo apki help kar sakti hai.

     download  kare


2.  Vegetable gardening guide:-


Jo apne bagiche me sabji ka production karna chahte hai.unke liye ayah app kafi upyogi hota hai.yaah app sabjiyo ko ropne ke liye istemaal hone wale chije aur ropne ka sahi tarika batata hai. 

     Download kare


3.  Plant alarm:-


iss free app ki help se aap apne plants se judi chijo ko schedule kar sakte hai.iss app ko istemal karna kafi aashan hai.    Download kare


4.   Poket garden:-


Agar aap kisi chij ka sabji lagane ja rahe hai,to poket garden app ke dura diye jane wale tips apke liye kafi kaam ka hai,yadi aap bij bone ja rahe hai to yaah app daily bij se podha banne ki parkiriya ke bare me update karta hai.

Download kare


5.  Gardening toolkit:-


Ghar ke bagiche ko sundar banane ke liye garding toolkit app apke kafi kaam ka sabit hai.yadi aapko yaah samjhne me pareshani hoti hai ki apko bagiche me kis prakar ke podhe ugana chahiye,to garding toolkit aapko bagiche ke anusar podho ka choose karne me help karta hai.