Love Marriage Vs Arrange Marriage By Sandeep Maheswari
Aaj kal love
marriage ko sab log bahut kharab mante hai,kyuki sabhi maa baap apne marji apne
pasand ke ladke/ladki se saadi karwana chahte hai,unhe lagta hai ki jo hum
ladka/ladki pasand karnge wo hi sabse best hoga.ayah jydatar sahi bhi hai lekin
utna nhi jitna wo sochte hai,
According to
Sandeep Maheswari sir: jo maa baap apne bacho ke life ka decision we khud lete
hai,wo bhale hi aacha hoga lekin unka har faisla lene ki adat ki wajah se unke
bacho me apna khud ka decision lene me bahut darte hai unhe har bar lagta hai
agar mami papa hote to jarur iska solution hota hai kyuki aise problem /
situation maine kbhi face kiya hi nahi.isliye na to main sikh paya aur na hi
kuch apne faisle par visvash kar pata ho ki.
Jab Baat
saadi ki hoti hai to ladki apne papa se kahti hai,ki papa main kisi aur se love
karti ho,main use aachi tarah janti ho use samjhti ho mujhe usi se saadi karwa
do.main uske sath khus rahongi.
Lekin unke
papa sochte hai agar love marriage karwa denge to samaj kya kahega meri ijjat
ka kya hoga,nhi aisa nhi hone denge saadi hogi to mere pasand se nhi to nhi
hogi.
Fir ladki
apne papa se bond likhwati hai ki ayah ladka hmko khus rakhega ayah guaranty
aap dete hai.to papa kahte hai,haa hum agreement dete hai, ye ladka tumhe bahut
khus rakhega.
Fir bhi Agar
jor jabarjasti saadi ho jati hai.ek ladki ek aise anjaan ladka se saadi krti
hai jiske baare me wo kuch nhi janti,uska life ka har pal uske sath bandh gya
jisko uske bare me kuch nhi janti.
Lekin jaise hi unke bich kuch kaha-suni hoti hai to
ladki sidhe apne papa pass call krti
hai(kyuki jab product me kuch kami hoti hai to aap kaha call karte hai company
ke pass jo gurenty liye hai) kyuki papa ne bhi to gureenty liye hai .
Fir ladki
papa ko pura sunati aap kaisa ladka chune hai mere liye jo meri ek baat tak nhi
mante.aap turant yaaha aaiye.ab papa pareshan kyuki gurrenty jo liye hai.
Pahle beti ka dor maa-baap ke pass tha lekin
ab maa-baap ka dor beti ke pass aa gya.isliye jiwan ke sabhi faisle maa-baap ke
upar nhi chodna chahiye.
Post a Comment