Header Ads

test

2 Business Brand Ki Super Success Story:Jise Har Business Men Ko Janna Jaruri Hai.


Business me success hona har koi chahata hai.kabhi kabhi hum khub mehnat karte hai lekin uske anurup me safaalta nhi mil pati  hai.isliye hume business me success hone ke liye unhe janne ki jarurt padti jo pahle hi success kar chuke hai.
                                 To aaj hum aise indian brand ke bare me jannge jo aaj apne business stratgy se pure duniya me safalta ka parcham lahraya hai.

1.BAHUT PAPAD BELE TAB MILI “LIJJAT PAPAD” KO MARKET ME IJJAT:-

Yaah kahani kisi bade aadmi ki nhi balki aise 7 aurat ki hai,jinke hath me sirf 80 rupee,choti umid choti khwab lekar kuch paise  ghar se ko jutane ke liye. 7 mahilaye ne kuch karne ki thani.ghar ki khuli chat par banaya target business ke liye.

15 march,1959 ko lizzat papad ki suruwat huyi,7 mahilaye 80 rupee udhar lekar papad banna suru kiya.ghar ki chat par beith kar pahle din 4 packet papad taiyaar kiye.ye muhhale ki dukandar ko beich diye gye.dhire-dhire aur mahilaye aane lagi.lekin barish aate hi sab dhandha kharab ho gya 4 month aise hi bekar chal gya.kyuki papad sukhane ki jagah nhi thi.fir kuch din baad ek khatiya()aur stove rakh kharidkar yaah problem ka solution nikala gya.khatiya par papad rakhkar uske niche stove jalakar papad sukhaye gaye.pahle saal 6,19.6 rupee ki sell huyi.

  3 saal me yaah 300 se jayda mahilaye isse judi.jagah kam padne lagi to sabhi ko aata de diya jata aur wo log ghar se hi papad bana kar shukha kar lane lagi.

1962 me mahilalo ne ise “lizzat papad”yaani “swadist” .yahi se business kamyabi ki sidhi chahdna suru kar diya.iss papad ka khashiyat yaah hai ki sare papad hath se hi bante hai.mahin ka upyog kahi nahi hota hai kyuki jyda se jyda mahilaye ko rojgar mil sake. Aur iska ek purpose tha ki “mahilya sashktikarn” ko aage tak le jana nhi to agr yaah business purpose se kam karta to use 2 guna profit hota .

Ise suru karne wali mahilaye ke man me “Brand “ jaisa koi idea nhi tha.lekin market ki jarurat ne unhe apna liya aur market koi iski lat lagi ki market koi ski aadat si lag gyi.
80 rupee ki suruwat se yah business aaj 700 crore  rupay salana kamati hai.

2. Thanks Nescafe Tumhare Bina Hamara Pyar Ka Cup Adhura Rah Jata:-

Agar gadariye ne bakri par research nhi hota to aaj hum coffee ka maza nhi le pate .9th century me ithopiya me ek bakri charane wale ne dekha ki coffee beans khan ke baad bakriyo me bahut urja(takat) se bhar jati hai.
Yahi se coffee ki suruwat huyi.17th century me Europe pahucha us waqt instant coffee jaisi koi chiz nhi thi .duniya ko pahli bar coffee se mulakat karwayi.”nestle”ne.nestle ne coffee par research kiya isliye iska naam huwa “Nescafe”.

Coffee shop aaj ke youth ke bich apne friend’s se gapsap ka sabse bada Kendra hai.coffee ki suruwat brazil se majbut huyi kyuki waha coffee ki production bahut hota tha.lekin ussse unhe profit nhi ho pa raha tha to 1930 me brazil ne nestle ko bola ki aap aisa powder banaye jise garm pani me dalne ke baad piya ja sake.

Nestle ne coffee guru max morganthlar ke sath swad aur khusboo par prayog kiye.switzarland  ke lab me 7 saal tak khub prayog kiye gye.laakho coffee chakhne ke baad  ek dhang ka swad mila .1 april 1938 ko “Nescafe” market me aayi.yahi se nescafe brand ki suruwat huyi. Nescafe suruwat me 100% instant coffee nhi tha isme carbohydrate mix the.
1954 me carbohydrat hatkar sudh instant coffee taiyaar huyi.iske baad kai tarah ke product bazar me aaye.1986 me nescafe ne cafin rahit coffee banakar kranti  kar di.aaj nescafe ke pass 200 se jyda product hai.America me 60  ke dasak me naam badalkar “testars choise” kar diya gya.2003 me dubara ise “Nescafe” naam se beiche jane laga.

            Aaj Nescafe 13 arab dollar se jyda income karti hai.
    ·       Duniya me parti second Nescafe ke 5000 se jyda cup piye jate hai.
    ·       India me coffee ki hissedari 55% hai.
    ·       Duniya me nestle ke 450 se jyda factory aur 3.5 lacs employee hai.