Startup Me Success Ke Tips:Aur Startup Me Failure Hone Se Kaise Bache
Aaj desh-
videsh me rojna hazaro startup kholte aur band ho jate hai,lekin pichle kuch
mahino me india ke kuch aache aur bade startup band huye hai.kuch samay pahle
hi ‘Ask me group’300 crore ki dendari ke sath band ho gya.aakhir 2014 aur2016
ke bich aisa kya howa,jo aachanak bade aur safal startup band ho raha hai,
Startup me success tricks,startup me fail hone se kaise bache, startup me log fail kyu hote ja rahe hai aaiye jante hai.
*. Target Se Bhatakna:-
Agar aap
startup me kisi ek chiz me focus karne ke bajay,ek sath kai chijo ko kosis
karte hai,example ke tor par ‘Ask me group’ko hi le.suru me ayah advertisement
company thi aur kafi profitable bhi thi.lekin fir 2013 me isne online shoping
ka kaam bhi suru kar diya ,jiske karan unke management ka dhyan ek se do jagah
bantne laga.2014 me isne kirane ka kaam bhi suru kar diya,jisse issme kaam
karne wale management wale business par kam focus karte hai. Aur sath hi invest
bhi tik se nhi kar pa rahe the,isi time advertisement business me jabarjast
loss hua.ek sath kai kaam karne se badte problem’s ke karan kai logo ne kaam
chod diya,jisse marketing aur extra kharcha badhne laga,.aur akhirkar paisa ki
kami ke karan ise band karna pada.isliye pahle aap ek business ko aache se
chala kar bada kar le,na ki pahle ki punji(capital) kam kar dusre business
khade kiya jaye.
*. Nakal Karne Wale Rahte Hai Hamesha
Piche:-
Jab market me koi naya idea ke sath
naye business aata hai to bahut se log uski nakal karne ki kosis karte
hai,example me lele to ‘Big Basket’ne jab online kirane ka kaam suru kiye,to
‘local baniya’ ‘papertap’ aur na jane kitne startup khul gye,lekin inme kuch nayapan
nhi tha,bas ye sab copy paste kar rahe the.iss karan inhe grahak nahi
mile…………………………………………………….
Startup ko
success karne ke liye naye idea ki jarurt padti hai.startup me grahak ki jarurt
aur market ki jarurat ka dhayan dena
padta hai.agar aapko lagta hai ki kuch kami hai to aap uski jarurat ko pura
kijiye.
*. Experience Ki Kami:-
Adhiktar startup youth duwara start kiye jate
hai,naye soch naye idea ke sath kafi aakarsak hote hai,lekin business me
experience bahut kaam aata hai,anubhavi employee market me aur uske badlao ki
behatar tarike se samjh sakte hai.aur anubhav ke sahare muskil ka samana kar
sakte hai.
*.Business Model Me Khaami:-
Suru me
startup jab chota haim,to use manage karna aashan aur kam costly hota hai,uss
samay kam resource ki jarurat hoti hai,lekin jab aap use aage badhne lagte hai
to suwidao ki kami ke karan hame kafi khamiyazana bhugtna padta hai.isliye
startup un jagah ko dhayan me rakhkar karna chahiye jaha jiski jarurat hai.
Post a Comment