Header Ads

test

Business Ki suruwat Kaise Kare:Naye Business man Ke Liye Success Tips

S

Agar aap apne life ke career ki shuruwat business se karne ja rahe hai to aapko bahut jaruri hai ki aap un baato ko jaan le jo business me kamyabi dila sakta hai,kyuki agar aap ye baat jane bina business start kar diye to aage jake aapko customar badhane aur business ko success karne me kafi time barbaad ho jayga.
1.mehnat ke liye kamar kas le:-


Akshar business ki aur kadam badha rahe log sochte hai ki ab we khud ke malik hai.mana ki apne business me aap hi boss hote hai,lekin tab apke hisse me hi sabse jyda mehnat aati hai.kuch waqt aisa gujrta hai,jisme hafte ki ek cutti(holiday) nasib nhi hogi.agar do din beith gye to business bhi do din piche chala jayega.agar aap 2-3 saal non-stop kaam karne ka liye taiyaar hai.to fir pure josh,himmat ke sath khade hoiye aage badhiye.success ke piche bhagne se aacha success ke kabil ban jao.


2.dil ki sune,dimagh se kaam le:-


Agar apke dost ne apna online business jama liya hai,iska matlab ayah nhi ki aap bhi usi me safal honge.khud se puchiye ki aapka interest kisme hai,kisi ke business me hone wale profit ko dekhkar aap motivate hoye hai ki ayah apka junoon hai,jo business aap karna chahte hai.uska level kya hai aur aapka level kya hai.ayah baat khud se dicied kare.usme hone wali pareshaniyo par najar dale apne patience aur himat ki gehrayi parkhye.fir decision le.

3. Anubhav ka kare samman: respect experienced people ;-


Aapke pass M.B.A ki degree hai. Aapke contect me dheru log samil hai.lekin phir bhi aap anubhvi aadmi se nhi jeet sakte hai.isliye agar koi anubhavi aadmi apko business se releted salah de.to unka respect kare.apne aap me ghamnd na pale ki mere pass degree hai aur baat iski sunu.


4. saving par dhayn dena:-


Business ki suruwat me alag-alag kamo ke liye staff rakh ke paisa kharch karna samjhdari ka baat nhi kaha ja sakta,par multi-national companyo se naukri chod kar business me aaye logo me ayah aadat aam dekhi jati hai.aise log jo business ko aaramtalbi se kamane ka dusra naam samjhte hai.aise logo ko business me fasne ka chances badh jate hai,aisa nhi ki aap apne business par kharch hi na kare,par shuruwati duor me ek ek paisa bacha lena matlab ki aap use kama liye hai.
 
5. place ka chunao:-


Business ki suruwat aisi jagah kare jaha se market najdik padta ho.kyuki ayah invest ko niche upar kar sakta hai.