Business Karna Kisi Gudo Gudiyo Ki Khel Nhi:Lekin Gudiyo ke Business Me 100 million ka kamayi Karti Hai Yaah Company:-
Aksar kaha jata hai company chalana
gude,guddiyo ka khel nahi hai.par yaadi koi company gudiya ke karan hi khub
aage chal jaye to kya kahnge.isi gudiyo ki badolat company ne apni pahchan
banayi.
Sayad hi
aisi koi teen hogi jisne Barbie doll se nhi khela hoga,yaa uske man me ye doll paane ki tammna nhi rahi
hogi.barbie ek international brand hai.ye gudiya nhi ek sapna hai.adult ladkiyo ka.ye duniya ki pahli
adult(waysk) doll hai.iske piche yahi vichar raha hai ki yova hoti ladkiya jis
tarah ka figre chahti hai,us tarah ki doll banayi jaye.jiska sina ubhara huwa
ho aur sundar ho.Ameriki lady jaisi ye doll taiyaar ki ruth handler ne.
Apni beti
Barbra ko gudiyo se khelte dekh ruth ne socha ki ek waysk gudiya banayi
jaye.aisi gudiya jiska figure aadarsh ho .apni beti Barbra ke nickname par doll
ka naam Barbie rakh diya.ab tak duniya me 1½ arab Barbie doll bik chuke hai.
Ruth ke husband eliyat handler ne herrold metsan ke sath 1945 me metal
company banayi.yaah company picture-fram aur music se jude chije banate
the.company suru me Barbie ko lekar exited nhi thi.company ka manna tha ki
waysk gudiya ka idea tik nhi hai aur uska product range se match nhi karti
hai.lekin ruth apni faisla par adig rahi. unhe apne idea par pura visvash tha wo pura dum kham se company ko apna idea aache se bataya aur afterall company maan gyi.1959 me
pahli bar New york ke play fair me Barbie ko launch kiya gya.
Pahli Barbie 3$ me sell huyi thi.pahli bar me hi record ki sell
huyi.3,51.000 barbie doll’s hatho hath bik gye.iss gudiyo ki dum par metal ki
income 100 million dollar se jyda ki company ban gyi.kamayi ki hissab se ye
duniya ki sabse badi khilona ki company hai.
Post a Comment